Utho e emaanwalo, ki Anna ne beimaano ko lalkaaraa hai,jis Hind par tumhe thaa naaz, Brishaachariyon ni usi ko dhikkaaraa hai,Apni jamhuriyat ko in beimaanon ne kyaa banaa daalaa hai?,Rahanumayee naa kar ke inhone, taanaashahi kaa aalam banaa daalaa hai, Inhone Gandhi ko kamjori aur, Ham sabko bechaaraa banaa daalaa hai, Inke bhrastaachaar ne hamaari azaadi ko, Tamaashaa banaa daalaa hai, Ki waqt aan pahunchaa jab hamein, Aabaaz dene ki liye bulandi se, Ek faqir ne pukaaraa hai, Utho e Hindwalo, Yeh Desh tumharaa hai, Yeh jamuhriyat tumahaari hai, Yeh kanoon bhi tumhaaraa hai, Yeh dharati bhi tumhaarai hai, Yeh khazaanaa bhi tumhaaraa hai, Loot rahe hain ise jo haat, Unhe pakadnaa hai, Tumhaari har aawaaz Anna ko, Kranti ki taakat de sakti hai, Lootne walon ko majboot takkar de sakati hai, Unhe maidaan chhod ne pe majboor kar sakti hai, Awaaz do hum ek hain, Awaaz do hum saath hein, Awaaz do hum azaad hain, Awaaz to hum tumhaare saath hain, Anna tumhare pechhe hum Kardon saath hein,Hum karodon saath hein, Saath hein, saath hein!
Anna se pehle bhi swatantrata senaniyon ni desh ko di hain kurbania, thamayi thi mashal jinhe samajh kar sathiyon, bo to nikle ghatiyon, ab agar lut ta hai desh to lutata rahe, ek Anna ki jaan ki unke liye koi kimat nahi hai, yeh tanashaha hai yeh democracy nahi hai yeh azadi nahi hai. Bakt hai zajbo se upar uthen hum, agar Gandhi nahi to Bhagat singh hon hum!